Nach Genre filtern

Mere Prabhu Ram

Mere Prabhu Ram

Red FM

"Mere Prabu Ram" showcases the lesser known stories of Ramayan. There are many versions of the great epic and so we have several incidents that come as a surprise, or as a justification to Ram's choices. At a time when "Jai Shri Ram" has become a war cry, this podcast highlights the values of love, sacrifice, and humility of Ram and other characters.

41 - Kyu Bhagwan Shiv ne kiya Hanuman se Yuddh ?
0:00 / 0:00
1x
  • 41 - Kyu Bhagwan Shiv ne kiya Hanuman se Yuddh ?

    Vachno ka bandhan hame kisi na kisi vichitr paristhithi me daal hi deta hai, iss bandhan me sirf insaan hi nahi balki bhagwan bhi aa jaate hai, aaj ki kahani me hum janaege ki aakhir aisa konsa vachan diya tha Bhagwan shiv ne jiske karan unhe swaym ke avtar Hanuman ji se hi yuddh karna pada. Kya thi vo vachan badh paristhithi jisse aisa bhayank yuddh hua jiske karan bharat ke putra pushkal ka bhi vadh ho gaya tha. Suniye yeh ansuni katha sirf Mere Prabhu Ram ke iss episode mein.

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Tue, 15 Apr 2025
  • 40 - Mata Sita Ko Tote Ne Diya Shraap

    Karmo ka phal sabko milta hai, chahe wo devta ho ya ek aam insaan. Shri Ram aur Mata Sita ne 14 saal ka vanvaas bhogha tha. Kya aap jaante hain ki vanvaas ke dauran unka viyog ek tote ke shraap ke karaan hua tha? Ek tote ne Mata Sita ko bhayankar shraap diya tha, jo unke aur Shri Ram ke beech doori ka karan bana. Aakhir kyun diya uss tote ne aisa shraap? Kya thi iske piche ki wajah? Janiye is Mere Prabhu Ram ke special episode mein.

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Fri, 04 Apr 2025
  • 39 - Ram ne kiya Kabandh Rakshas Ka Uddhar

    Jab Bhagwan Shri Ram aur Lakshman, Mata Sita ki talaash mein van mein bhatak rahe the, tab unka samna ek ajeeb aur bhayankar rakshas Kabandh se hua. Na sir, na pair—aur mooh uske pet mein!

    Aakhir Kaise Prabhu Ram ne kiya iss ajeeb se Rakshas ka uddhar aur usne unhe kaun si jaroori salah di? Suniye yeh ansuni katha sirf Mere Prabhu Ram ke iss episdoe mein.

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Fri, 21 Mar 2025
  • 38 - Ram Ji Ne Kyun Nhi Chalaya Raavan ke Hriday Par Baan?

    Prabhu Ram ke prakram ke hamne bahut sare kisse sune hain, par jab Prabhu Ram ka yuddh Raavan ke sath ho raha tha, tab  Akhir kyun Shree Ram ne Raavan ke sare angon par baano ki varsha kardi par hriday par ek baan bhi nahi chalaya? Akhir kyun?

    Suniye ye anokha kissa Mere Prabhu Ram ke iss episode mein.

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Thu, 13 Mar 2025
  • 37 - Laxman Ko Aaya Bharat Par Krodh

    Ram, Lakshman, Bharat, aur Shatrughan. Hum sabne inn charon bhaiyon ke atoot prem aur bandhan ke dhero kisse sune hain, par aisa kya huaa ki Laxman ko apne bhai Bharat par itna gussa aaya ki wo unn se yuddha karne ko taiyaar ho gaye? Aur Prabhu Ram mein unke krodh ko shant karne ke liye kya kiya? Suniye ye anokha kissa Mere Prabhu Ram ki iss episode mein.

     

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Fri, 14 Feb 2025
Weitere Folgen anzeigen