Filtra per genere

Kal Ki Kahaniyan: World of Indian Folk Stories

Kal Ki Kahaniyan: World of Indian Folk Stories

Ashtam Neelkanth

Kisi ne khoob kaha hai, kahaniyan naa rahen to hum jeevan mein vaise hi bhatak jayenge jaisi ki jungle mein bina raaston ke. Isiliye, kuch purani kahaniyon ki nayi khoj ke saath aaya hai - Kal Ki Kahaniyan: World of Indian Folk Stories with Ashtam Neelkanth. Ek aisa podcast jahan aap sunenge desh ke alag alag konon se dhoondh ke laayi gayin, alag alag bhashaon mein chhipi FOLK(lok) KAHANIYAN. Wo bhi apni HINDI bhasha mein. Naya Episode - Har FRIDAY! Khud sunen, bacchon ko sunaayen, ya presentation mein chamkayen - bedhadak! Kyunki ye kahaniyan hain, hum sub ki kahaniyan.

18 - Episode 17 - Chandrataal Ki Pari (A Lahaul-Spiti Folk Story)
0:00 / 0:00
1x
  • 18 - Episode 17 - Chandrataal Ki Pari (A Lahaul-Spiti Folk Story)

    Follow us on Instagram - https://www.instagram.com/kalkikahaniyan?igsh=MWx3bTZsZjk4bXk2ZQ== Log kehte hain Spiti ki Chandrataal jheel mein poore chaand ki raat ko pariyan utarti hain... To phir isse achhi koi kahani ho sakti hai Kal Ki Kahaniyan ke pehle season ke aakhiri episode ke liye? To janna hai ki kya hota hai jab Hanse gaon ke Neema ko poore chaand ki aadhi raat ko apna naam ek meethi aawaaz mein sunai deta hai? Aur kaha pahunchta hai Neema jo us meethi aawaaz ki summohan mein gum bus chala jaata hai... To jaldi se Lauhaul-Spiti se ud ke pohochi kahani, Chandrataal Ki Pari sun daaliye! Bataiyega zaroor, ki kaisi lagi kahani? Aur baaki kahaniyan bhi zaroor suniyega... Folk kahaniyon ka jaadu rukna nahin chahiye!

    Fri, 05 Jan 2024
  • 17 - Episode 16 - Do Nadiyon Ki Prem Kahani (A Lepcha Tribe Folk Story)

    Follow Kal Ki Kahaniyan on Instagram on https://instagram.com/kalkikahaniyan?igshid=MzMyNGUyNmU2YQ== Prem kahaniyan to aapne bohot suni hongi... par is baar hum laye hain Sikkim ki pahadiyon se Lepcha tribe ke folk kahani ke khazane se dhoondh ke - Do Nadiyon Ki Prem Kahani! Kehne waale kehte hain ki wo prem kahani hi kya jo poori ho jaye... par kya do nadiyon ki kahani bhi adhoori hi reh gayi? To janna hai ki kyu bhaag gayi Rongnyu Rongeet ke saath... Aur kyu Rongeet ke pagalpaan mein laa di poore sikkim mein baadh... To poori kahani jald sunen... Kahani sun ke bataiyega ki kaisi lagi. Podcast to aapne follow kar hi liya hoga... lage haath rate bhi kar dijiyega!

    Fri, 08 Dec 2023
  • 16 - Episode 15 - Kunhayan Ke Qisse (Comic from Malabar)

    Follow us on Instagram - https://instagram.com/kalkikahaniyan?igshid=MzMyNGUyNmU2YQ== Hindustan Ke Hansod mini-series ke aakhiri episode mein aap se milne aaye hain... Kunhayan Musaliyar! Ya yun kahen ki Malabar ke Birbal! Birbal ka to nahin pata... par Kunhayan ke Kottayam ke Raja se milne ki kahani bhi Kunhayan ke baaki qisson ki tarah mazedaar hai. Kunhayan ki salah pe Raja ke mantri ne raja ki biwi ko kar liya agwa... aur kuch dinon ke baad bulawa aaya Kunhayan ko Raja se milne ka. Ab Kunhayan ko kaato to khoon nahi! Kya hua uske baad... janna hai to sun daaliye kahani! Podcast to follow kar hi liya hoga aapne... jhat se rate bhi kar daaliye!

    Fri, 01 Dec 2023
  • 15 - Episode 14 - Mulla Nasruddin Ke Qisse (Comic from Asia)

    Follow us on Instagram too on https://instagram.com/kalkikahaniyan?igshid=MzMyNGUyNmU2YQ== Mulla Nasruddin, naam to suna hoga, par kahani suni kya? Bharat ke folk comics pe aadhaarit mini-series Hindustan Ke Hansod mein pesh hai Mulla Nasruddin ke Qisse! Ek aisa hansod, jise Turkey se le ke Cheen tak apna maante hain, to India ke bhi peechhe rahe? To janna hai ki koun tha wo jaana hua ajnabi jo aaya Nasruddin ke paas? Are wahi jaana ajnabi jise aap chahre se to jaante ho par naam kahan yaadon ki galiyon mein kho gaya hai... Kya hua jab mila ye purana yaar? Kyu ajeeb tha usse milna? Aur kya laaya wo tohfa jiska chukaya Nasrudding ne jamaane waali sardiyon tak chukaya qarza?Aur kyu nahi aata ab Nasruddin ke yaha bin bulaya mehmaan? To sun daaliye episode aur bataiye ki kaisa lagi kahani? Podcast ko follow karna aur rate karna mat bhooliyega!

    Fri, 24 Nov 2023
  • 14 - Episode 13 - Gonu Jha Ke Qisse (Comic from Bihar)

    Follow Kal Ki Kahaniyan on Instagram - https://instagram.com/kalkikahaniyan?igshid=MzMyNGUyNmU2YQ== Bhartiye folk comics pe aadhaarit mini series, Hindustan Ke Hansod mein aaj aapse milne aaye hain Mithila se... Gonu Jha! Ek aise vidooshak (jester) jinhone darbaariyon ka hi nahin, aam logon ka dil bhi behlaya. Yahan tak ki bhagwaan... haan! Bhagwanon ko bhi naako tale chane chabwa diye. Kaise? Ye janne ke liye to poori kahani sunni hogi. Khud suniye, saathiyo ko sunaiye aur bachhon ko to zaroor sunaiye! Podcast to aapne follow kia hi hoga, lage haath rank bhi kar dijiye!

    Fri, 17 Nov 2023
Mostra altri episodi