Nach Genre filtern

Folk Tales

Folk Tales

Sochcast Original

Sochcast Originals bring you stories from various regions, various cultural communities which inspire the society to stay on the path of honesty and righteousness. These are stories you heard as a child or are sharing with your children now. These are the stories which bring to life the morality to keep everyone happy and at peace. These are folk tales which showcase the cultural heritage we are meant to preserve and nurture for generations ahead of us.

12 - Buddhiman Kazi
0:00 / 0:00
1x
  • 12 - Buddhiman Kazi

    Kashmir ke Badshah ka budhimaan kaazi ek hi tha jisne ek lakadhaare ko uski maut ki saaza se bachaya. Ziddi Badshah kisi ki sunta nahi tha aur sirf aadesh diya karta tha. Ek dopahar jab Badshah vichar vimarsh kar raha tha ki ek kauwe ki awaaz ne use pareshan kiya. Usne turant kauwe ko maut ke ghat utarne ke aadesh diya. Badshah ke kaazi ne use samjhaya ki ho sakta hain kauwa ko sandesh lekar aay ho aur isi ke chalte lakadhara phas jata hain. Jaaniye kaise Kaazi ne lakadhare ki jaan bachayi aur Badshah ko bhi khush rakha 

    Wed, 18 May 2022
  • 11 - Mahua Ka Ped

    Atithidevobhav ka sanskaar hum sab main bachpan se paya gaya hain. Mahua ke Ped ki kahani hain aise mukhiya ke baare main jo apne atithi seva ke liye hamesha charcha main rehte. Koi bhi atithi uske dwar se ati prasann ho apne ghar lauta karta. Mukhiya unhe wapas aane ka nimantran bhi dete. Dheere dheere Mukhiya aur uske bete ne jana ki kaise atithi ek hi phal kha kar pareshan ho rahe the. Mukhiya ka beta nikla sanjeevani ki khoj main jo unke atitihiyon ko khush kar, jhoomte huye wapas bheje. Suniye Mahua ka Ped aur janiye rehasya jhoomte atithiyon ka 

    Wed, 18 May 2022
  • 10 - Ghee Sad Gaya

    Hyderabad ke Nizam Meer Usman Ali Khan ki dariyadali aur kanjoosi ka saar hain ye Folk Tale. Shehar ke pragatisheel karyon ke liye mashoor Nizam chote chote kharchon par ghanto vichar karte the. Jab wo kahi jaate, tohfa lekar nahi jate lekin tohfa lekar wapas zaroor aate. Yun hi Datiya ke Maharaj se unhone datiya ke shudh ghee ke canister mangwaye jo mahino rakhe badboodar ban gaye. Aakhir kaise nijaad mila gaonwalo ko aur unke wazir ko is pareshani se, suniye Ghee Sad Gaya main 

    Wed, 04 May 2022
  • 9 - Chatori Bhanumati

    Patni ke jaane ke baad Ramling ne gharelu karyo ko liye Bhanumati ko rakha. Bhanumti gharelu thi lekin bahut hi chatori thi aur khane peene ki cheezein wo jhatpat khatam kar deti. Ramling ko jab tak ye samajh aaya tab tak thodi der ho chuki thi lekin phir whi usne Bhanumati ko chetawani di ki use apni chatori zubaan par niyantran rakhna padega. Lekin aisa hua nahi, aaiye sunte hain kaise Ramling ko kaise chutkara mila Bhanumati se 

    Wed, 27 Apr 2022
  • 8 - Kaun Hai Pati

    Arunachal Pradesh ki prajati Apatani ke mukhiya Donigarth ki putri Tamaang itni rupvati thi ki uska ujala rup dekh log usko surya devta ki putri kehte. Rup aur Gunno ke saath Tamaang ko nritya ka bhi shauk tha. Aise hi ek mele main use prem hua Abutani se aur dono ki Jodi bhi sundar thi lekin Abutani ek garib parrivar se tha. Devpurusho ki anumati, Tamaang ke pita ki teen shartein aur Abutaani ke beech Tamaang kya apne pyar ko pa payegi. Kaun hain pati folk tale main seekhe budhi ke prayog se sabhi samasyaon ka hal paya ja sakta hain 

    Thu, 14 Apr 2022
Weitere Folgen anzeigen